Wednesday, September 24, 2008

Phir na kehna ki bhool gaye...........

woh darakhto se lehrate jhoole aur neem ke ped ki chaaya
yaad hai hume abhi bhi sab kuch
Woh roti ke tookre char
Woh ambiya se khatte hote daanth
Woh imli ki chatkar, woh kadi dhoop se tapte paanv
Jaane kahan gayi woh daupahariya, dhoop jiski tumhari chaanv mein thandak deti thi,

Kyon aayi sham ki andhera bura sa lagta hai
Andhere mein saaya bhi apna darta hai
Jaane kab aaoge ki subah ho jae
Pannchiyon sa aao chalo hum bhi kanhi udd chale…………………………